Hindi Best Shayri – You can read 100+ emotional Hindi Shayaris below. We have posted every Shero Shayari in both Hindi and English script for shayari aficionados.
Best😟Shayari In Hindi – बेस्ट😟शायरी इन हिंदी
Mijaaz Ko Bas Talkhiyan Hi Raas Aayin,
Humne Kayi Baar Muskura Ke Dekh Liya.
मिजाज को बस तल्खियाँ ही रास आईं,
हम ने कई बार मुस्कुरा कर देख लिया।
Meri Koshish Kabhi Kamyaab Na Ho Saki,
Na Tujhe Pane Kii Na Tujhe Bhulane Ki.
मेरी कोशिश कभी कामयाब ना हो सकी,
न तुझे पाने की न तुझे भुलाने की।
Akelapan😔Shayari
Akelapan Shayari – You can read more than 100 emotional Hindi Shayari below. For shayari aficionados, we have included every Shero Shayari in both Hindi and English script.
Akelapan Shayari – अकेलापन शायरी
Meri Jagah Koi Aur Ho Toh Cheekh Uthhe,
Main Apne Aap Se Itne Sawaal Karta Hoon.
मेरी जगह कोई और हो तो चीख उठे,
मैं अपने आप से इतने सवाल करता हूँ।
Yakeen Tha Ke Tum Bhool Jaaoge Mujhko,
Khushi Hai Ke Tum Ummeed Par Khare Utre.
यकीन था कि तुम भूल जाओगे मुझको,
खुशी है कि तुम उम्मीद पर खरे उतरे।
Urdu😕Shayri
Urdu Shayri – You can read 100+ emotional Hindi Shayari below. We have posted every Shero Shayari in both Hindi and English script, especially for shayari aficionados.
Urdu Shayari in Hindi – उर्दू शायरी इन हिंदी
Jise Khud Se Hi Nahin Fursatein,
Jise Khayal Apne Kamaal Ka,
Usey Kya Khabar Mere Shauq Ki,
Usey Kya Pata Mere Haal Ka.
जिसे खुद से ही नहीं फुरसतें,
जिसे खयाल अपने कमाल का,
उसे क्या खबर मेरे शौक़ की,
उसे क्या पता मेरे हाल का।
Anjaam-e-Wafa Ye Hai Jisne Bhi Mohabbat Ki,
Marne Ki Duaa Maangi Jeene Ki Sazaa Payi.
अंजाम-ए-वफ़ा ये है जिसने भी मोहब्बत की,
मरने की दुआ माँगी जीने की सज़ा पाई।
Shayri Urdu🥺Best
Shayri Urdu Best – You can read 100+ touching Hindi Shayari below. We have posted every Shero Shayari in both Hindi and English script for shayari lovers.
Urdu😙Shayri Sad – उर्दू😙शायरी साद
Gujra Hoon Hadsaat Se Lekin Wohi Hoon Main,
Tum Ne To Ek Baat Pe Raaste Badal Liye.
गुजरा हूँ हादसात से लेकिन वही हूँ मैं,
तुम ने तो एक बात पे रस्ते बदल लिए।
Nafratein Lakh Mili Par Mohabbat Na Mili,
Zindagi Beet Gayi Magar Rahat Na Mili,
Teri Mehfil Mein Har Ek Ko Hansta Dekha,
Ek Main Tha Jise Hasne Ki Ijazat Na Mili.
नफरतें लाख मिलीं पर मोहब्बत न मिली,
ज़िन्दगी बीत गयी मगर राहत न मिली,
तेरी महफ़िल में हर एक को हँसता देखा,
एक मैं था जिसे हँसने की इजाज़त न मिली।